01 - Khwabon Khwabon

Khwabon khwabon jaage soye
Khoye khoye hum hai jaise yahaan
Raahon raahon dhundhle dhundhle
Halke halke hosh ke hain nishaan

Tum humsafar ho toh raste sab hain sehal
Har mod par milte sapno ke hain mahal
Pighle tann mann hain, saanson mein hai nasha

Tu humsafar ho toh sab hai jaise haseen
Chaand se zyada hai jagmagaati zameen
Pyaar mein doobi si, lagti hai har disha

Khwabon khwabon jaage soye
Khoye khoye hum hai jaise yahaan
Raahon raahon dhundhle dhundhle
Halke halke hosh ke hain nishaan
Kya karron main bayaan
Ladhkhaaye zabaan

Hum jo aise mil gaye hain, ab iraade hi naye hain
Tum hi kaho, kaise na ho, dil mein mere yeh hulchul
Hum toh jaise hain deewane, dil ki saari baatein maane
Tum ho jahaan main hoon wahaan, dono hue hain paagal
Kum na ho deewangi apni, guzre yunhi zindagi apni
Dil jo bataayenge, hum kehte jaayenge haan

Khwabon khwabon jaage soye
Khoye khoye hum hai jaise yahaan
Raahon raahon dhundhle dhundhle
Halke halke hosh ke hain nishaan

Pyaar ke jo raaste hain, apne hi toh vaaste hain
Tum bhi chalo, main bhi chalun
Chalte rahein hum pal pal
Palkon palkon khwaab leke, iktile betaab leke
Hum jo chale chaane lagey, geeton ke yeh baadal
Goongje hain jo geet sureelay
Bann jo inki madheera pee le
Hum mehke jaayenge, hum kehte jaayenge haan

Khwabon khwabon jaage soye
Khoye khoye hum hai jaise yahaan
Raahon raahon dhundhle dhundhle
Halke halke hosh ke hain nishaan

Tum humsafar ho toh raste sab hain sehal
Har mod par milte sapno ke hain mahal
Pighle tann mann hain, saanson mein hai nasha

Tu humsafar ho toh sab hai jaise haseen
Chaand se zyada hai jagmagaati zameen
Pyaar mein doobi si, lagti hai har disha
Ab har disha

------------------------------------------------------------

02 - Chahoon Bhi

Chahoon bhi toh main kaise kahoon
Saari jo baatein dil kehta hai
Lehar sapno ki kaise ginnu
Dariya behta hi rehta hai

Chahoon bhi toh main kaise kahoon
Saari jo baatein dil kehta hai
Lehar sapno ki kaise ginnu
Dariya behta hi rehta hai
Keh rahi hai kya yeh suno, meri khamoshiyan
Raat se hai lambhi kahin, dil ki yeh dastaan
Kaise kahoon
Chahoon bhi toh main kaise kahoon
Saari jo baatein dil kehta hai
Lehar sapno ki kaise ginnu
Dariya behta hi rehta hai
Keh rahi hai kya yeh suno, meri khamoshiyan
Raat se hai lambhi kahin, dil ki yeh dastaan
Kaise kahoon (kaise kahoon)

Tumse mujhe yeh kehna tha woh keh raha tha humdum
Ho saamne toh kya kahoon, kya kehna tha humdum
Kaise yeh, jazbaat hain
Iss dil mein toh, din raat hain
Honthon pe kyun aane se yeh sharmaate hain
Aankhon mein kyun yeh har gadi aa jaate hain
Chahoon bhi toh main kaise kahoon
Saari jo baatein dil kehta hai
Lehar sapno ki kaise ginnu
Dariya behta hi rehta hai

Hum kyun kahe, joban kahe, ik baat hai jaana
Dhadkan kahe, dhadkan sune, woh raat hai jaana
Dil bole bin hai bolta
Sab raaz hai yeh kholta
Jab khwab hai, jazbaat hai, ehsaas hai
Toh kehna kya, toh sunn na kya, awaaz hai
Chahoon bhi toh main kaise kahoon
Saari jo baatein dil kehta hai
Lehar sapno ki kaise ginnu
Dariya behta hi rehta hai
Keh rahi hai kya yeh suno, meri khamoshiyan
Raat se hai lambhi kahin, dil ki yeh dastaan
Kaise kahoon

---------------------------------------------------

03 - Dum Hai To Aaja

Main hoon toofani

Duniya ki rani

Main hoon toofani, duniya ki rani
Tu kya rokega, meri mannmaani
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Mujhse takraane, hey dum hai to aaja
Main hoon toofani, duniya ki rani
Tu kya rokega, meri mannmaani
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Mujhse takraane, hey dum hai to aaja

Zurm hai kya, paap hai kya, jaane de
Jeetay koi, kaise yahan, yeh dikhlaane de
Kisi ki nighaahon ke, halke se ishaare se
Duniya jhukti hai yeah
Main hoon woh main hoon
Maan le jo keh doon
Tera jo gammand hai
Saara main nikaalun
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Mujko haraane, dum hai to aaja

Khatre ki parwah tu kar nahin
Marrne se pehle tu darr ke marr nahin
Jeena hai toh chunn le
Kehti jo hoon main sunn le
Duniya jhukti hai yeah
Koi deewane, jo yeh na maane
Lagta hai mujhko, dushman jaane
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Ladne ladaane, yeah yeah
Dum hai to aaja
Main hoon toofani, duniya ki rani
Tu kya rokega, meri mannmaani
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Mujhse takraane, hey dum hai to aaja
Dum hai to aaja, dum hai to aaja
Mujko haraane, dum hai to aaja o re..

---------------------------------------------

04 - Main Chali

Yeh roop aur yeh rangat
Yeh chaal aur yeh nazaakat
Kaisi hai yeh kayaamat
Ab koi kya kahe
Yeh roop aur yeh rangat
Yeh chaal aur yeh nazaakat
Kaisi hai yeh kayaamat
Ab koi kya kahe

Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain
Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain

Teri zulf ki ghataayein, teri shok si nighaahein
Kaisi hai yeh balaayein, ab koi kya kahe
Teri zulf ki ghataayein, teri shok si nighaahein
Kaisi hai yeh balaayein, ab koi kya kahe

Duniya badli hai mera andaaza kyun badle
Sab kuch toh hai badal gaya
Goonja hai jo geet naya toh saaz na kyun badle
Mera bhi sur hai naya
Nayi nayi si hai meri raah
Naya naya mera safar hai
Nayi nayi si hai meri chaahein
Nayi nayi meri nazar hai
Haan nayi nayi meri nazar hai

Tere nain hai niraale, madira ke jaise pyaale
Sambhle na dil sambhaale, ab koi kya kahe
Tere nain hai niraale, madira ke jaise pyaale
Sambhle na dil sambhaale, ab koi kya kahe

Dil chaahe ke leke sitaare haar bana loon main
Chaand ho mere bin diya
Saagar ki saari lehrein aaja mein saja loon main
Jaane kyun chaahe yeh jiya
Koi samjhe toh samjhe deewane
Mujhko hai parwah kya
Main jaane toh bas itna hi jaanu
Dil dhoondhta hai raah kya
Oo dil dhoondhta hai raah kya

Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang laayi
Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe
Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang laayi
Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe

Main chali toh jhoom uthi zindagi
Main chali toh jaag uthi roshni
Mausam naya, nayi nayi hawaein hain
Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain
Oo ..

-----------------------------------------------

05 - Dil Ki Hai Tamanna


Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Hum jab mil gaye hain, phir kyun yeh faasle
Paas aake bhi hum kuch door se hain
Kyun jijke se hain dono
Kyun pitke se hain dono
Kya jaane hum kyun yun majboor se hain

Mere aankhon mein sitaare hain
Sharmeelay se ishaare hain
Inko zara toh dekho tum, inko toh samjho

Kyun ho gayi ho sharmeeli, jo hai baat dil ki rangeeli
Yeh sharm-warm tum chhodo, hum se toh keh do
Jo dhadkan mein, saanson mein, ik raaz hai chhupa
Aa duniya se keh de hum, mere saathiya

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Jab do dilon ka kehna hai, ab saath humko rehna hai
Jab dono dil dhadkte hain, toh kya hai mushkil
Bas itni si shikaayat hai, chup rehne ki jo aadat hai
Chhodo kabhi toh tum keh do, jo kehta hai dil

Jo dhadkan mein, saanson mein, ik raaz hai chhupa
Aa duniya se keh de hum, mere saathiya

Na tu bataaye na main kahoon jo tere mere dil ki hai tamanna
Meri hai tamanna meri bann tu mujhko bhi hai bas tera bann na
Jaan ke hum anjaan hain kaisi hai yeh kahani
Arrey ho na kyun hairaani
Jo pyaas hai kyun peetay nahin paani

Hum jab mil gaye hain, phir kyun yeh faasle
Paas aake bhi hum kuch door se hain
Kyun jijke se hain dono
Kyun pitke se hain dono
Kya jaane hum kyun yun majboor se hain.